main vo shaayar hoon jo shahon ka sana-khwan na hua | मैं वो शाएर हूँ जो शाहों का सना-ख़्वाँ न हुआ

  - Ahmad Nadeem Qasmi

main vo shaayar hoon jo shahon ka sana-khwan na hua
ye hai vo jurm jo mujh se kisi unwaan na hua

is gunah par meri ik umr andhere mein kati
mujh se is maut ke mele mein charaaghaan na hua

kal jahaan phool khile jashn hai zakhamon ka wahan
dil vo gulshan hai ujad kar bhi jo veeraan na hua

aankhen kuchh aur dikhaati hain magar zehan kuchh aur
baagh mahke magar ehsaas-e-bahaaran na hua

yun to har daur mein girte rahe insaan ke nirakh
in ghulaamon mein koi yusuf-e-kanaan na hua

main khud aasooda hoon kam-kosh hoon ya pathar hoon
zakham kha ke bhi mujhe dard ka irfaan na hua

saari duniya mutlaatim nazar aati hai nadeem
mujh pe ik tanj hua rauzan-e-zindaan na hua

मैं वो शाएर हूँ जो शाहों का सना-ख़्वाँ न हुआ
ये है वो जुर्म जो मुझ से किसी उनवाँ न हुआ

इस गुनह पर मिरी इक उम्र अँधेरे में कटी
मुझ से इस मौत के मेले में चराग़ाँ न हुआ

कल जहाँ फूल खिले जश्न है ज़ख़्मों का वहाँ
दिल वो गुलशन है उजड़ कर भी जो वीराँ न हुआ

आँखें कुछ और दिखाती हैं मगर ज़ेहन कुछ और
बाग़ महके मगर एहसास-ए-बहाराँ न हुआ

यूँ तो हर दौर में गिरते रहे इंसान के निर्ख़
इन ग़ुलामों में कोई यूसुफ़-ए-कनआँ न हुआ

मैं ख़ुद आसूदा हूँ कम-कोश हूँ या पथर हूँ
ज़ख़्म खा के भी मुझे दर्द का इरफ़ाँ न हुआ

सारी दुनिया मुतलातिम नज़र आती है 'नदीम'
मुझ पे इक तंज़ हुआ रौज़न-ए-ज़िंदाँ न हुआ

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari