teri mehfil bhi mudaava nahin tanhaai ka | तेरी महफ़िल भी मुदावा नहीं तन्हाई का - Ahmad Nadeem Qasmi

teri mehfil bhi mudaava nahin tanhaai ka
kitna charcha tha tiri anjuman-aaraai ka

daag-e-dil naqsh hai ik laala-e-sehraai ka
ye asaasa hai meri baadiya-paimaai ka

jab bhi dekha hai tujhe aalam-e-now dekha hai
marhala tay na hua teri shanaasaai ka

vo tire jism ki qausein hon ki mehrab-e-haram
har haqeeqat mein mila kham tiri angadaai ka

ufuq-e-zehan pe chamka tira paimaan-e-visaal
chaand nikla hai mere aalam-e-tanhaai ka

bhari duniya mein faqat mujh se nigaahen na chura
ishq par bas na chalega tiri danaai ka

har nayi bazm tiri yaad ka maahol bani
main ne ye rang bhi dekha tiri yaktaai ka

naala aata hai jo lab par to ghazal banta hai
mere fan par bhi hai partav tiri raanaai ka

तेरी महफ़िल भी मुदावा नहीं तन्हाई का
कितना चर्चा था तिरी अंजुमन-आराई का

दाग़-ए-दिल नक़्श है इक लाला-ए-सहराई का
ये असासा है मिरी बादिया-पैमाई का

जब भी देखा है तुझे आलम-ए-नौ देखा है
मरहला तय न हुआ तेरी शनासाई का

वो तिरे जिस्म की क़ौसें हों कि मेहराब-ए-हरम
हर हक़ीक़त में मिला ख़म तिरी अंगड़ाई का

उफ़ुक़-ए-ज़ेहन पे चमका तिरा पैमान-ए-विसाल
चाँद निकला है मिरे आलम-ए-तन्हाई का

भरी दुनिया में फ़क़त मुझ से निगाहें न चुरा
इश्क़ पर बस न चलेगा तिरी दानाई का

हर नई बज़्म तिरी याद का माहौल बनी
मैं ने ये रंग भी देखा तिरी यकताई का

नाला आता है जो लब पर तो ग़ज़ल बनता है
मेरे फ़न पर भी है परतव तिरी रानाई का

- Ahmad Nadeem Qasmi
0 Likes

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari