aakhiri baar andhere ke pujaari sun len | आख़िरी बार अंधेरे के पुजारी सुन लें

  - Ahmad Nadeem Qasmi

aakhiri baar andhere ke pujaari sun len
main sehar hoon main ujaala hoon haqeeqat hoon main

main mohabbat ka to deta hoon mohabbat se jawaab
lekin a'ada ke liye qahar-o-qayaamat hoon main

mera dushman mujhe lalaakar ke jaayega kahaan
khaak ka taish hoon aflaak ki dahshat hoon main

आख़िरी बार अंधेरे के पुजारी सुन लें
मैं सहर हूँ मैं उजाला हूँ हक़ीक़त हूँ मैं

मैं मोहब्बत का तो देता हूँ मोहब्बत से जवाब
लेकिन आ'दा के लिए क़हर-ओ-क़यामत हूँ मैं

मिरा दुश्मन मुझे ललकार के जाएगा कहाँ
ख़ाक का तैश हूँ अफ़्लाक की दहशत हूँ मैं

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Nafrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Nafrat Shayari Shayari