mere lams ko tadapati to kuchh aur baat hoti | मेरे लम्स को तड़पती तो कुछ और बात होती

  - Alfaiz shaikh

mere lams ko tadapati to kuchh aur baat hoti
teri saans jo ubharti to kuchh aur baat hoti

ye guzar hi jaayegi raat badal-badal ke pahluu
teri baahon mein guzarti to kuchh aur baat hoti

gul-e-rang kii hai fitrat ki jahaan rahe so khushboo
magar apni simt hoti to kuchh aur baat hoti

yun baras raheen ghataaen ki utha hai shor-e-toofan
teri zulf jo bikhrti to kuchh aur baat hoti

ye nigaah kah rahi hai tu tadap rahi hai khud mein
tu labon se mujhse kahti to kuchh aur baat hoti

मेरे लम्स को तड़पती तो कुछ और बात होती
तेरी साँस जो उभरती तो कुछ और बात होती

ये गुज़र ही जाएगी रात बदल-बदल के पहलू
तेरी बाहों में गुज़रती तो कुछ और बात होती

गुल-ए-रंग की है फ़ितरत कि जहाॅं रहे सो ख़ुशबू
मगर अपनी सिम्त होती तो कुछ और बात होती

यूँ बरस रहीं घटाऍं कि उठा है शोर-ए-तूफ़ाँ
तेरी ज़ुल्फ़ जो बिखरती तो कुछ और बात होती

ये निगाह कह रही है तू तड़प रही है ख़ुद में
तू लबों से मुझसे कहती तो कुछ और बात होती

  - Alfaiz shaikh

More by Alfaiz shaikh

As you were reading Shayari by Alfaiz shaikh

Similar Writers

our suggestion based on Alfaiz shaikh

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari