na takht-o-taaj mein ne lashkar-o-sipaah mein hai
jo baat mard-e-qalander ki baargaah mein hai
sanam-kada hai jahaan aur mard-e-haq hai khaleel
ye nukta vo hai ki poshida laa-ilah mein hai
wahi jahaan hai tira jis ko tu kare paida
ye sang-o-khisht nahin jo tiri nigaah mein hai
mah o sitaara se aage maqaam hai jis ka
vo musht-e-khaak abhi aawaargaan-e-raah mein hai
khabar mili hai khudaayan-e-bahr-o-bar se mujhe
farang rahguzar-e-sail-e-be-panaah mein hai
talash us ki fazaaon mein kar naseeb apna
jahaan-e-tazaa meri aah-e-subh-gaah mein hai
mere kadu ko ghaneemat samajh ki baada-e-naab
na madarse mein hai baaki na khaanqaah mein hai
न तख़्त-ओ-ताज में ने लश्कर-ओ-सिपाह में है
जो बात मर्द-ए-क़लंदर की बारगाह में है
सनम-कदा है जहाँ और मर्द-ए-हक़ है ख़लील
ये नुक्ता वो है कि पोशीदा ला-इलाह में है
वही जहाँ है तिरा जिस को तू करे पैदा
ये संग-ओ-ख़िश्त नहीं जो तिरी निगाह में है
मह ओ सितारा से आगे मक़ाम है जिस का
वो मुश्त-ए-ख़ाक अभी आवारगान-ए-राह में है
ख़बर मिली है ख़ुदायान-ए-बहर-ओ-बर से मुझे
फ़रंग रहगुज़र-ए-सैल-ए-बे-पनाह में है
तलाश उस की फ़ज़ाओं में कर नसीब अपना
जहान-ए-ताज़ा मिरी आह-ए-सुब्ह-गाह में है
मिरे कदू को ग़नीमत समझ कि बादा-ए-नाब
न मदरसे में है बाक़ी न ख़ानक़ाह में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Child labour Shayari Shayari