kab mausam-e-bahaar pukaara nahin kiya | कब मौसम-ए-बहार पुकारा नहीं किया - Ambreen Haseeb Ambar

kab mausam-e-bahaar pukaara nahin kiya
hum ne tire baghair gawara nahin kiya

duniya to hum se haath milaane ko aayi thi
hum ne hi e'tibaar dobara nahin kiya

mil jaaye khaak mein na kahi is khayal se
aankhon ne koi ishq sitaara nahin kiya

ik umr ke azaab ka haasil wahin behisht
do chaar din jahaan pe guzaara nahin kiya

ai aasmaan kis liye is darja barhmi
hum ne to tiri samt ishaara nahin kiya

ab hans ke tere naaz uthaaye to kis liye
tu ne bhi to lihaaz hamaara nahin kiya

कब मौसम-ए-बहार पुकारा नहीं किया
हम ने तिरे बग़ैर गवारा नहीं किया

दुनिया तो हम से हाथ मिलाने को आई थी
हम ने ही ए'तिबार दोबारा नहीं किया

मिल जाए ख़ाक में न कहीं इस ख़याल से
आँखों ने कोई इश्क़ सितारा नहीं किया

इक उम्र के अज़ाब का हासिल वहीं बहिश्त
दो चार दिन जहाँ पे गुज़ारा नहीं किया

ऐ आसमाँ किस लिए इस दर्जा बरहमी
हम ने तो तिरी सम्त इशारा नहीं किया

अब हँस के तेरे नाज़ उठाएँ तो किस लिए
तू ने भी तो लिहाज़ हमारा नहीं किया

- Ambreen Haseeb Ambar
0 Likes

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambreen Haseeb Ambar

As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar

Similar Writers

our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari