is aarzi duniya mein har baat adhuri hai
har jeet hai la-haasil har maat adhuri hai
kuchh der ki rim-jhim ko ma'aloom nahin shaayad
jal-thal na ho aangan to barsaat adhuri hai
kya khoob tamasha hai ye kaar-gah-e-hasti
har jism salaamat hai har zaat adhuri hai
mahroom-e-tamaazat din shab mein bhi nahin khunkee
ye kaisa ta'alluq hai har baat adhuri hai
इस आरज़ी दुनिया में हर बात अधूरी है
हर जीत है ला-हासिल हर मात अधूरी है
कुछ देर की रिम-झिम को मा'लूम नहीं शायद
जल-थल न हो आँगन तो बरसात अधूरी है
क्या ख़ूब तमाशा है ये कार-गह-ए-हस्ती
हर जिस्म सलामत है हर ज़ात अधूरी है
महरूम-ए-तमाज़त दिन शब में भी नहीं ख़ुनकी
ये कैसा तअ'ल्लुक़ है हर बात अधूरी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar
our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar
As you were reading Jeet Shayari Shayari