ayaan dono se takmeel-e-jahaan hai | अयाँ दोनों से तक्मील-ए-जहाँ है - Ambreen Haseeb Ambar

ayaan dono se takmeel-e-jahaan hai
zameen gum ho to phir kya aasmaan hai

tilismaati koi qissa hai duniya
yahan har din nayi ik dastaan hai

jo tum ho to ye kaise maan luun main
ki jo kuchh hai yahan bas ik gumaan hai

saroon par aasmaan hote hue bhi
jise dekho wahi be-saaebaan hai

kisi dharti ki shaayad ret hogi
hamaare vaaste jo kahkashaan hai

agar tha chand-roza mausam-e-gul
to phir do chaar hi din ki khizaan hai

jise umr-e-ravaan kahte hain ambar
chalo dekhen kahaan tak raayegaan hai

अयाँ दोनों से तक्मील-ए-जहाँ है
ज़मीं गुम हो तो फिर क्या आसमाँ है

तिलस्माती कोई क़िस्सा है दुनिया
यहाँ हर दिन नई इक दास्ताँ है

जो तुम हो तो ये कैसे मान लूँ मैं
कि जो कुछ है यहाँ बस इक गुमाँ है

सरों पर आसमाँ होते हुए भी
जिसे देखो वही बे-साएबाँ है

किसी धरती की शायद रेत होगी
हमारे वास्ते जो कहकशाँ है

अगर था चंद-रोज़ा मौसम-ए-गुल
तो फिर दो चार ही दिन की ख़िज़ाँ है

जिसे उम्र-ए-रवाँ कहते हैं 'अम्बर'
चलो देखें कहाँ तक राएगाँ है

- Ambreen Haseeb Ambar
0 Likes

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambreen Haseeb Ambar

As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar

Similar Writers

our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari