bahte hue ashkon ki rawaani nahin likkhi
main ne gham-e-hijraan ki kahaani nahin likkhi
jis din se tire haath se chhoota hai mera haath
us din se koi shaam suhaani nahin likkhi
kya jaaniye kya soch ke afsurda hua dil
main ne to koi baat puraani nahin likkhi
alfaaz se kaaghaz pe sajaai hai jo duniya
juz apne koi cheez bhi faani nahin likkhi
tashheer to maqsood nahin qissaa-e-dil ki
so tujh ko likha teri nishaani nahin likkhi
बहते हुए अश्कों की रवानी नहीं लिक्खी
मैं ने ग़म-ए-हिज्राँ की कहानी नहीं लिक्खी
जिस दिन से तिरे हाथ से छूटा है मिरा हाथ
उस दिन से कोई शाम सुहानी नहीं लिक्खी
क्या जानिए क्या सोच के अफ़्सुर्दा हुआ दिल
मैं ने तो कोई बात पुरानी नहीं लिक्खी
अल्फ़ाज़ से काग़ज़ पे सजाई है जो दुनिया
जुज़ अपने कोई चीज़ भी फ़ानी नहीं लिक्खी
तश्हीर तो मक़्सूद नहीं क़िस्सा-ए-दिल की
सो तुझ को लिखा तेरी निशानी नहीं लिक्खी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar
our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar
As you were reading Dil Shayari Shayari