ab aseeri ki ye tadbeer hui jaati hai
ek khushboo meri zanjeer hui jaati hai
ik haseen khwaab ki aankhon se nikalta hi nahin
ek vehshat hai ki ta'beer hui jaati hai
us ki poshaak nigaahon ka ajab hai ye fusoon
khush-bayaani meri tasveer hui jaati hai
ab vo deedaar mayassar hai na qurbat na sukhun
ik judaai hai jo taqdeer hui jaati hai
un ko ashaar na samjhen kahi duniya waale
ye to hasrat hai jo tahreer hui jaati hai
अब असीरी की ये तदबीर हुई जाती है
एक ख़ुश्बू मिरी ज़ंजीर हुई जाती है
इक हसीं ख़्वाब कि आँखों से निकलता ही नहीं
एक वहशत है कि ता'बीर हुई जाती है
उस की पोशाक निगाहों का अजब है ये फ़ुसूँ
ख़ुश-बयानी मिरी तस्वीर हुई जाती है
अब वो दीदार मयस्सर है न क़ुर्बत न सुख़न
इक जुदाई है जो तक़दीर हुई जाती है
उन को अशआर न समझें कहीं दुनिया वाले
ये तो हसरत है जो तहरीर हुई जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar
our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar
As you were reading Judai Shayari Shayari