zindagi-bhar ek hi kaar-e-hunar karte rahe | ज़िंदगी-भर एक ही कार-ए-हुनर करते रहे - Ambreen Haseeb Ambar

zindagi-bhar ek hi kaar-e-hunar karte rahe
ik gharaunda ret ka tha jis ko ghar karte rahe

ham ko bhi ma'aloom tha anjaam kya hoga magar
shehr-e-koofa ki taraf ham bhi safar karte rahe

ud gaye saare parinde mausamon ki chaah mein
intizaar un ka magar boodhe shajar karte rahe

yun to ham bhi kaun sa zinda rahe is shehar mein
zinda hone ki adaakaari magar karte rahe

aankh rah takti rahi dil us ko samjhaata raha
apna apna kaam dono umr-bhar karte rahe

ik nahin ka khauf tha so ham ne poocha hi nahin
yaad kya ham ko bhi vo deewar-o-dar karte rahe

ज़िंदगी-भर एक ही कार-ए-हुनर करते रहे
इक घरौंदा रेत का था जिस को घर करते रहे

हम को भी मा'लूम था अंजाम क्या होगा मगर
शहर-ए-कूफ़ा की तरफ़ हम भी सफ़र करते रहे

उड़ गए सारे परिंदे मौसमों की चाह में
इंतिज़ार उन का मगर बूढे शजर करते रहे

यूँ तो हम भी कौन सा ज़िंदा रहे इस शहर में
ज़िंदा होने की अदाकारी मगर करते रहे

आँख रह तकती रही दिल उस को समझाता रहा
अपना अपना काम दोनों उम्र-भर करते रहे

इक नहीं का ख़ौफ़ था सो हम ने पूछा ही नहीं
याद क्या हम को भी वो दीवार-ओ-दर करते रहे

- Ambreen Haseeb Ambar
1 Like

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambreen Haseeb Ambar

As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar

Similar Writers

our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari