khushi ka lamha ret tha so haath se nikal gaya
vo chaudahveen ka chaand tha andheri shab mein dhal gaya
hai wasf us ke paas ye badal sake har ek shay
so mujh ko bhi badal diya aur aap bhi badal gaya
machal raha tha dil bahut so dil ki baat maan li
samajh raha hai na-samajh ki daav us ka chal gaya
ye daud bhi ajeeb si hai faisla ajeeb-tar
ki faateh-e-hayaat vo jo gir ke phir sambhal gaya
samajh liya ahem nahin main us ke vaaste magar
nazar phir us se mil gai ye dil ki phir bahl gaya
ajeeb mera aks tha utar ke us ki aankh mein
sanwaara mujh ko is tarah ki aaina hi jal gaya
ख़ुशी का लम्हा रेत था सो हाथ से निकल गया
वो चौदहवीं का चाँद था अँधेरी शब में ढल गया
है वस्फ़ उस के पास ये बदल सके हर एक शय
सो मुझ को भी बदल दिया और आप भी बदल गया
मचल रहा था दिल बहुत सो दिल की बात मान ली
समझ रहा है ना-समझ की दाव उस का चल गया
ये दौड़ भी अजीब सी है फ़ैसला अजीब-तर
की फ़ातेह-ए-हयात वो जो गिर के फिर सँभल गया
समझ लिया अहम नहीं मैं उस के वास्ते मगर
नज़र फिर उस से मिल गई ये दिल की फिर बहल गया
अजीब मेरा अक्स था उतर के उस की आँख में
सँवारा मुझ को इस तरह की आइना ही जल गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar
our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar
As you were reading Khushi Shayari Shayari