ik gali se khushboo ki rasm-o-raah kaafi hai | इक गली से ख़ुश्बू की रस्म-ओ-राह काफ़ी है

  - Ambreen Haseeb Ambar

ik gali se khushboo ki rasm-o-raah kaafi hai
laakh jabr mausam ho ye panaah kaafi hai

niyyat-e-zulekha ki khoj mein rahe duniya
apni be-gunaahi ko dil gawaah kaafi hai

umr-bhar ke sajdon se mil nahin saki jannat
khuld se nikalne ko ik gunaah kaafi hai

aasmaan pe ja baithe ye khabar nahin tum ko
arsh ke hilaane ko ek gunaah kaafi hai

pairavi se mumkin hai kab rasai manzil tak
naqsh-e-paa mitaane ko gard-e-raah kaafi hai

chaar din ki hasti mein hans ke jee liye ambar
be-nashaat duniya se ye nibaah kaafi hai

इक गली से ख़ुश्बू की रस्म-ओ-राह काफ़ी है
लाख जब्र मौसम हो ये पनाह काफ़ी है

निय्यत-ए-ज़ुलेख़ा की खोज में रहे दुनिया
अपनी बे-गुनाही को दिल गवाह काफ़ी है

उम्र-भर के सज्दों से मिल नहीं सकी जन्नत
ख़ुल्द से निकलने को इक गुनाह काफ़ी है

आसमाँ पे जा बैठे ये ख़बर नहीं तुम को
अर्श के हिलाने को एक गुनाह काफ़ी है

पैरवी से मुमकिन है कब रसाई मंज़िल तक
नक़्श-ए-पा मिटाने को गर्द-ए-राह काफ़ी है

चार दिन की हस्ती में हँस के जी लिए 'अम्बर'
बे-नशात दुनिया से ये निबाह काफ़ी है

  - Ambreen Haseeb Ambar

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambreen Haseeb Ambar

As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar

Similar Writers

our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari