sitaara-baar ban jaaye nazar aisa nahin hota | सितारा-बार बन जाए नज़र ऐसा नहीं होता

  - Ambreen Haseeb Ambar

sitaara-baar ban jaaye nazar aisa nahin hota
har ik ummeed bar aaye magar aisa nahin hota

mohabbat aur qurbaani mein hi ta'aamir muzmar hai
dar-o-deewar se ban jaaye ghar aisa nahin hota

sabhi ke haath mein misl-e-sifaal-e-nam nahin rahna
jo mil jaaye wahi ho kooza-gar aisa nahin hota

kaha jalta hua ghar dekh kar ahl-e-tamaasha ne
dhuaan aise nahin uthata sharar aisa nahin hota

kisi ki meherbaan dastak ne zinda kar diya mujh ko
main patthar ho gai hoti agar aisa nahin hota

kisi jazbe ki shiddat munhasir takmeel par bhi thi
na paaya ho to khone ka bhi dar aisa nahin hota

सितारा-बार बन जाए नज़र ऐसा नहीं होता
हर इक उम्मीद बर आए मगर ऐसा नहीं होता

मोहब्बत और क़ुर्बानी में ही ता'मीर मुज़्मर है
दर-ओ-दीवार से बन जाए घर ऐसा नहीं होता

सभी के हाथ में मिस्ल-ए-सिफ़ाल-ए-नम नहीं रहना
जो मिल जाए वही हो कूज़ा-गर ऐसा नहीं होता

कहा जलता हुआ घर देख कर अहल-ए-तमाशा ने
धुआँ ऐसे नहीं उठता शरर ऐसा नहीं होता

किसी की मेहरबाँ दस्तक ने ज़िंदा कर दिया मुझ को
मैं पत्थर हो गई होती अगर ऐसा नहीं होता

किसी जज़्बे की शिद्दत मुनहसिर तकमील पर भी थी
न पाया हो तो खोने का भी डर ऐसा नहीं होता

  - Ambreen Haseeb Ambar

Cigarette Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambreen Haseeb Ambar

As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar

Similar Writers

our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar

Similar Moods

As you were reading Cigarette Shayari Shayari