main use dekh rahi hoon badi hairaani se
jo mujhe bhool gaya is qadar aasaani se
khud se ghabra ke yahi kahti hoon auron ki tarah
khauf aata hai mujhe shehar ki veeraani se
ab kisi aur saleeqe se sataaye duniya
jee badlne laga asbaab-e-pareshaani se
tan ko dhaanpe hue firte hain sabhi log yahan
sharm aati hai kise soch ki uryaani se
ai falak chhod de be-yaar-o-maddagaar hamein
dam ghuta jaata hai ab teri nigahbaani se
main use khwaab samajh sakti hoon lekin ambar
lams jaata nahin us ka meri peshaani se
मैं उसे देख रही हूँ बड़ी हैरानी से
जो मुझे भूल गया इस क़दर आसानी से
ख़ुद से घबरा के यही कहती हूँ औरों की तरह
ख़ौफ़ आता है मुझे शहर की वीरानी से
अब किसी और सलीक़े से सताए दुनिया
जी बदलने लगा असबाब-ए-परेशानी से
तन को ढाँपे हुए फिरते हैं सभी लोग यहाँ
शर्म आती है किसे सोच की उर्यानी से
ऐ फ़लक छोड़ दे बेयार-ओ-मददगार हमें
दम घुटा जाता है अब तेरी निगहबानी से
मैं उसे ख़्वाब समझ सकती हूँ लेकिन 'अम्बर'
लम्स जाता नहीं उस का मिरी पेशानी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar
our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari