jab se zindagi hua dil gardish-e-taqdeer ka
roz badh jaata hai ik halka meri zanjeer ka
mere hisse mein kahaan theen ujalton ki manzilen
mere qadmon ko sada rasta mila taakheer se
kis liye barbaadiyon ka dil ko hai itna malaal
aur kya andaaza ho khamyaza-e-ta'aamir ka
khoon-e-dil jin ki gawaahi mein hua nazr-e-wafa
rang to vo ud gaye ab kya karoon tasveer ka
main ne samjha teri chaahat ko faqat inaa'm-e-zeest
mujh ko andaaza na tha is jurm is ta'zeer ka
ek lab tak hi na pahunchee jo dua thi mustajaab
kis qadar charcha hua hai aah-e-be-taaseer ka
lafz ki hurmat muqaddam hai dil-o-jaan se mujhe
sach ta'aruf hai mere har she'r har tahreer ka
जब से ज़िंदगी हुआ दिल गर्दिश-ए-तक़दीर का
रोज़ बढ़ जाता है इक हल्क़ा मिरी ज़ंजीर का
मेरे हिस्से में कहाँ थीं उजलतों की मंज़िलें
मेरे क़दमों को सदा रस्ता मिला ताख़ीर से
किस लिए बर्बादियों का दिल को है इतना मलाल
और क्या अंदाज़ा हो ख़म्याज़ा-ए-ता'मीर का
ख़ून-ए-दिल जिन की गवाही में हुआ नज़्र-ए-वफ़ा
रंग तो वो उड़ गए अब क्या करूँ तस्वीर का
मैं ने समझा तेरी चाहत को फ़क़त इनआ'म-ए-ज़ीस्त
मुझ को अंदाज़ा न था इस जुर्म इस ता'ज़ीर का
एक लब तक ही न पहुँची जो दुआ थी मुस्तजाब
किस क़दर चर्चा हुआ है आह-ए-बे-तासीर का
लफ़्ज़ की हुरमत मुक़द्दम है दिल-ओ-जाँ से मुझे
सच तआरुफ़ है मिरे हर शे'र हर तहरीर का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar
our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar
As you were reading Aarzoo Shayari Shayari