ho gai baat puraani phir bhi
yaad hai mujh ko zabaani phir bhi
mauja-e-gham ne to dam tod diya
rah gaya aankh mein paani phir bhi
main ne socha bhi nahin tha is ko
ho gai shaam suhaani phir bhi
chashm-e-nam ne use jaate dekha
dil ne ye baat na maani phir bhi
log arzaan hue jaate hain yahan
badhti jaati hai giraani phir bhi
burida laaye ho darbaar mein tum
yaad hai sho'la-bayaani phir bhi
bhool jote. hain musaafir rasta
log kahte hain kahaani phir bhi
हो गई बात पुरानी फिर भी
याद है मुझ को ज़बानी फिर भी
मौजा-ए-ग़म ने तो दम तोड़ दिया
रह गया आँख में पानी फिर भी
मैं ने सोचा भी नहीं था इस को
हो गई शाम सुहानी फिर भी
चश्म-ए-नम ने उसे जाते देखा
दिल ने ये बात न मानी फिर भी
लोग अर्ज़ां हुए जाते हैं यहाँ
बढ़ती जाती है गिरानी फिर भी
बुरीदा लाए हो दरबार में तुम
याद है शो'ला-बयानी फिर भी
भूल जोते हैं मुसाफ़िर रस्ता
लोग कहते हैं कहानी फिर भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar
our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar
As you were reading Shama Shayari Shayari