tumhaara jo sahaara ho gaya hai
bhanwar bhi ab kinaara ho gaya hai
mohabbat mein bhala kya aur hota
mera ye dil tumhaara ho gaya hai
tumhaari yaad se hai vo charaaghaan
ki aansu bhi sitaara ho gaya hai
ajab hai mausam-e-be-ikhtiyaari
ki jab se vo hamaara ho gaya
ik an-jaani khushi ke aasre mein
hamein har gham gawara ho gaya hai
hamein kab raas aa sakti thi duniya
ghaneemat hai guzaara ho gaya hai
jinhen rehta tha zo'm-e-dil-faroshi
unhen ab ke khasaara ho gaya hai
तुम्हारा जो सहारा हो गया है
भँवर भी अब किनारा हो गया है
मोहब्बत में भला क्या और होता
मिरा ये दिल तुम्हारा हो गया है
तुम्हारी याद से है वो चराग़ाँ
की आँसू भी सितारा हो गया है
अजब है मौसम-ए-बे-इख़्तियारी
की जब से वो हमारा हो गया
इक अन-जानी ख़ुशी के आसरे में
हमें हर ग़म गवारा हो गया है
हमें कब रास आ सकती थी दुनिया
ग़नीमत है गुज़ारा हो गया है
जिन्हें रहता था ज़ो'म-ए-दिल-फ़रोशी
उन्हें अब के ख़सारा हो गया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar
our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar
As you were reading Sad Shayari Shayari