dil jin ko dhoondhta hai na-jaane kahaan gaye
khwaab-o-khayaal se vo zamaane kahaan gaye
maanoos baam-o-dar se nazar poochhti rahi
un mein base vo log purane kahaan gaye
us sarzameen se thi jo mohabbat vo kya hui
bacchon ke lab pe the jo taraane kahaan gaye
apni khata pe sar ko jhukaaya hai aaj kyun
azbar jo aap ko the bahaane kahaan gaye
patthar sama'aton se zabaan gung ho gai
ham bhi gaye to haal sunaane kahaan gaye
be-mehri-e-hayaat tujhe kuchh khabar bhi hai
dekhe gaye jo khwaab suhaane kahaan gaye
bachpan saheliyaan vo hama-waqt ki hasi
ambar vo zindagi ke khazaane kahaan gaye
दिल जिन को ढूँढता है न-जाने कहाँ गए
ख़्वाब-ओ-ख़याल से वो ज़माने कहाँ गए
मानूस बाम-ओ-दर से नज़र पूछती रही
उन में बसे वो लोग पुराने कहाँ गए
उस सरज़मीं से थी जो मोहब्बत वो क्या हुई
बच्चों के लब पे थे जो तराने कहाँ गए
अपनी ख़ता पे सर को झुकाया है आज क्यूँ
अज़बर जो आप को थे बहाने कहाँ गए
पत्थर समाअतों से ज़बाँ गुंग हो गई
हम भी गए तो हाल सुनाने कहाँ गए
बे-महरी-ए-हयात तुझे कुछ ख़बर भी है
देखे गए जो ख़्वाब सुहाने कहाँ गए
बचपन सहेलियाँ वो हमा-वक़्त की हँसी
'अम्बर' वो ज़िंदगी के ख़ज़ाने कहाँ गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar
our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar
As you were reading Love Shayari Shayari