ho kabhi gar tujhko dariya ki rawaani dekhna
to tu ham jaise deewanon ki kahaani dekhna
chadhte dekhi ek cheenti maine ik deewaar par
us se seekha khwaab maine aasmaani dekhna
dekhne bhar se tumhein milta hai is dil ko sukoon
chahta hoon tumko saari zindagaani dekhna
she'r ke pehle hi misre mein likha hai uska naam
phir nahin hai ab to mumkin iska saani dekhna
jis jawaani pe tumhein bhi aaj hai itna gumaan
ek din dhal jaani hai saari jawaani dekhna
baithna aa ke kisi shab saath mere aur phir
in khush aankhon se tu girye ki rawaani dekhna
chahiye jitna main usko baaton mein hoon la chuka
ab badan pe vasl ki hai bas nishaani dekhna
हो कभी गर तुझको दरिया की रवानी देखना
तो तू हम जैसे दी'वानों की कहानी देखना
चढ़ते देखी एक चींटी मैंने इक दीवार पर
उस से सीखा ख़्वाब मैंने आसमानी देखना
देखने भर से तुम्हें मिलता है इस दिल को सुकून
चाहता हूं तुमको सारी ज़िन्दगानी देखना
शे'र के पहले ही मिसरे में लिखा है उसका नाम
फिर नहीं है अब तो मुमकिन इसका सानी देखना.
जिस जवानी पे तुम्हें भी आज है इतना गुमान
एक दिन ढल जानी है सारी जवानी देखना
बैठना आ के किसी शब साथ मेरे और फिर
इन खुश आंखों से तू गिर्ये की रवानी देखना
चाहिए जितना मैं उसको बातों में हूं ला चुका
अब बदन पे वस्ल की है बस निशानी देखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankit Maurya
our suggestion based on Ankit Maurya
As you were reading Nigaah Shayari Shayari