hain bahut kaam zindagi ke paas
nahin rukna hai bas mujhi ke paas
milne aana to aise aana tum
chhod ke waqt ko ghadi ke paas
rok rakha tha waqt jiske liye
nahin hai waqt ab usi ke paas
dost ham hain kisi ke thukraaye
ja nahin sakte ab kisi ke paas
dekhna kaun chahe waqt apna
aankh jaati hai khud ghadi ke paas
yaad aati hain jheel si aankhen
baithe rahte hain ham nadi ke paas
हैं बहुत काम ज़िन्दगी के पास
नहीं रुकना है बस मुझी के पास
मिलने आना तो ऐसे आना तुम
छोड़ के वक़्त को घड़ी के पास
रोक रक्खा था वक़्त जिसके लिए
नहीं है वक़्त अब उसी के पास
दोस्त हम हैं किसी के ठुकराए
जा नहीं सकते अब किसी के पास
देखना कौन चाहे वक़्त अपना
आँख जाती है ख़ुद घड़ी के पास
याद आती हैं झील सी आँखें
बैठे रहते हैं हम नदी के पास
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankit Maurya
our suggestion based on Ankit Maurya
As you were reading Yaad Shayari Shayari