kitaab-e-zeest mein aisa koii bhi baab nahin | किताब-ए-ज़ीस्त में ऐसा कोई भी बाब नहीं - A R Sahil "Alig"

kitaab-e-zeest mein aisa koii bhi baab nahin
tumhaare ishq ka jis par likha hisaab nahin

sharaab-khaane mein do boond bhi sharaab nahin
hamaare vaaste isse bada azaab nahin

hui ye zindagi tareek raat ke maanind
tu mahtaab nahin main bhi aftaab nahin

nayi hayaat mein dhalna padega ab is ko
ye zindagi to muhabbat mein kaamyaab nahin

tu apni aankhon ka chashma badal ke dekh mujhe
jahaan jitna hai utna to main kharaab nahin

hamein bhi tark-e-t'aalluq ka khaak ho afsos
bichhad ke ham se tumhein bhi to iztiraab nahin

ye may-kada hai yahan hai har ek shakhs qubool
koii shareef nahin hai koii kharaab nahin

khizaan ne kaun sii tarteeb se kiya barbaad
kisi bhi shaakh pe gulshan mein ik gulaab nahin

karo tabaah mujhe tum bhi ishq mein be-hech
hai isse badh ke kahin bhi koii musaab nahin

ba-raah-e-ishq-e-ghazaala kahe bhi kya saahil
sahaa na main ne jise ho koii ajaab nahin

किताब-ए-ज़ीस्त में ऐसा कोई भी बाब नहीं
तुम्हारे इश्क़ का जिस पर लिखा हिसाब नहीं

शराब-ख़ाने में दो बूँद भी शराब नहीं
हमारे वास्ते इससे बड़ा अज़ाब नहीं

हुई ये ज़िंदगी तारीक रात के मानिंद
तू माहताब नहीं मैं भी आफ़ताब नहीं

नई हयात में ढलना पड़ेगा अब इस को
ये ज़िंदगी तो मुहब्बत में कामयाब नहीं

तू अपनी आँखों का चश्मा बदल के देख मुझे
जहान जितना है उतना तो मैं ख़राब नहीं

हमें भी तर्क-ए-त'अल्लुक़ का ख़ाक हो अफ़सोस
बिछड़ के हम से तुम्हें भी तो इज़्तिराब नहीं

ये मय-कदा है यहाँ है हर एक शख़्स क़ुबूल
कोई शरीफ़ नहीं है कोई ख़राब नहीं

ख़िज़ाँ ने कौन सी तरतीब से किया बर्बाद
किसी भी शाख़ पे गुलशन में इक गुलाब नहीं

करो तबाह मुझे तुम भी इश्क़ में बे-हेच
है इससे बढ़ के कहीं भी कोई मुसाब नहीं

ब-राह-ए-इश्क़-ए-ग़ज़ाला कहे भी क्या 'साहिल'
सहा न मैं ने जिसे हो कोई अजाब नहीं

- A R Sahil "Alig"
0 Likes

More by A R Sahil "Alig"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Alig"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Alig"

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari