koi makdi fansi hai baalon mein | कोई मकड़ी फँसी है बालों में

  - Aves Sayyad

koi makdi fansi hai baalon mein
nikhar aayi safedi jaalon mein

qahqaha khaamoshi mein badla hai
aise sannaate goonje naalon mein

aur haalat kharab hoti hai
ishq ho gar kharab haalon mein

teergi mein mila hoon mujhse main
kho gaya tha tere ujaalon mein

ek hi shakhs par jhagdate hain
kaisi khoobi hai ham-khayaalon mein

usko chaalein sikhaai hain maine
main hi fansata hoon uski chaalon mein

kitni aasaan bana di jaati hai
ek mushkil mere khayaalon mein

pair chhukar vida kiya usne
khushbuen bas gai hain chhaalon mein

maine uljha diya jawaabon ko
so vo khulta gaya sawaalon mein

nazmein ghazlein ho jaati hain sayyad
sher hota hai koi saalon mein

कोई मकड़ी फँसी है बालों में
निख़र आई सफ़ेदी जालों में

क़हक़हा ख़ामुशी में बदला है
ऐसे सन्नाटे गूंजे नालों में

और हालत ख़राब होती है
इश्क़ हो गर ख़राब हालों में

तीरगी में मिला हूँ मुझसे मैं
खो गया था तेरे उजालों में

एक ही शख़्स पर झगड़ते हैं
कैसी ख़ूबी है हम-ख़यालों में

उसको चालें सिखाई हैं मैंने
मैं ही फँसता हूँ उसकी चालों में

कितनी आसाँ बना दी जाती है
एक मुश्किल मेरे ख़यालों में

पैर छूकर विदा किया उसने
ख़ुशबुएँ बस गई हैं छालों में

मैंने उलझा दिया जवाबों को
सो वो खुलता गया सवालों में

नज़्में ग़ज़लें हो जाती हैं 'सय्यद'
शेर होता है कोई सालों में

  - Aves Sayyad

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari