bala se din to dhala shukr hai ki raat hui | बला से दिन तो ढला शुक्र है कि रात हुई - Dharmesh bashar

bala se din to dhala shukr hai ki raat hui
gham-e-hayaat se thodi bahut najaat hui

ye zindagi ke taqaze ye maut kii dastak
hamaari zaat pe kya kya na waardaat hui

ziyaada-tar to main khud se hi ham-kalaam raha
kabhi kabhi to magar aap se bhi baat hui

ye dil-kharaash se tevar ye khashm-geen aankhen
mujhe bachao ki phir chashm-e-iltefaat hui

vo baadlon kii garaj thi ki bijliyon kii chamak
vo jab zameen pe utri tumhaari zaat hui

shab-e-visaal hai aur tishna lab hai rind koii
koii bataaye bhala ye bhi koii baat hui

vo khaamoshi ke taraane vo raqs-e-tanhaaii
shab-e-firaq meri muddat-e-hayaat hui

tu baat baat mein jannat kii baat karta hai
to phir bata kabhi teri khuda se baat hui

tu aaj aaya bashar kii mizaaj-pursi ko
tujhe khabar hai ki arsa hua wafaat hui

बला से दिन तो ढला शुक्र है कि रात हुई
ग़म-ए-हयात से थोड़ी बहुत नजात हुई

ये ज़िंदगी के तक़ाज़े ये मौत की दस्तक
हमारी ज़ात पे क्या क्या न वारदात हुई

ज़ियादा-तर तो मैं ख़ुद से ही हम-कलाम रहा
कभी कभी तो मगर आप से भी बात हुई

ये दिल-ख़राश से तेवर ये ख़श्म-गीं आँखें
मुझे बचाओ कि फिर चश्म-ए-इल्तिफ़ात हुई

वो बादलों की गरज थी कि बिजलियों की चमक
वो जब ज़मीन पे उतरी तुम्हारी ज़ात हुई

शब-ए-विसाल है और तिश्ना लब है रिंद कोई
कोई बताए भला ये भी कोई बात हुई

वो ख़ामुशी के तराने वो रक़्स-ए-तन्हाई
शब-ए-फ़िराक़ मिरी मुद्दत-ए-हयात हुई

तू बात बात में जन्नत की बात करता है
तो फिर बता कभी तेरी ख़ुदा से बात हुई

तू आज आया ‘बशर’ की मिज़ाज-पुर्सी को
तुझे ख़बर है कि अर्सा हुआ वफ़ात हुई

- Dharmesh bashar
6 Likes

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari