din mere qayamat ke guzar kyun nahin jaate | दिन मेरे क़यामत के गुज़र क्यूँ नहीं जाते

  - Dharmesh bashar

din mere qayamat ke guzar kyun nahin jaate
afsos ki ye mujhse mukar kyun nahin jaate

jab chaak-e-girebaan pe rafu kii hai tasalli
aansu meri palkon pe thehar kyun nahin jaate

aate hain sataane mere ghar yaadon ke lashkar
aate hain idhar kyun vo udhar kyun nahin jaate

kya dil hi mera barq-e-tajalli ka hai markaz
jalwe tire taa-hadd-e-nazar kyun nahin jaate

armaanon se maamoor hai ye dil ke samandar
ashkon kii inaayat hai to bhar kyun nahin jaate

dil muntashir ab ho gaya hai shehr-e-wafa mein
ye sang-e-dar-e-yaar bikhar kyun nahin jaate

jab ho chuka hai khatm gham-e-dil ka tamasha
in logon se poocho ki vo ghar kyun nahin jaate

kab tak ho bashar ab yun hisaar-e-gham-e-duniya
hain itne gile-shikwe to mar kyun nahin jaate

दिन मेरे क़यामत के गुज़र क्यूँ नहीं जाते
अफ़सोस कि ये मुझसे मुकर क्यूँ नहीं जाते

जब चाक-ए-गिरेबाँ पे रफ़ू की है तसल्ली
आँसू मिरी पलकों पे ठहर क्यूँ नहीं जाते

आते हैं सताने मिरे घर यादों के लश्कर
आते हैं इधर क्यूँ वो उधर क्यूँ नहीं जाते

क्या दिल ही मिरा बर्क़-ए-तजल्ली का है मरकज़
जल्वे तिरे ता-हद्द-ए-नज़र क्यूँ नहीं जाते

अरमानों से मामूर है ये दिल के समंदर
अश्कों की इनायत है तो भर क्यूँ नहीं जाते

दिल मुंतशिर अब हो गया है शहर-ए-वफ़ा में
ये संग-ए-दर-ए-यार बिखर क्यूँ नहीं जाते

जब हो चुका है ख़त्म ग़म-ए-दिल का तमाशा
इन लोगों से पूछो कि वो घर क्यूँ नहीं जाते

कब तक हो 'बशर' अब यूँ हिसार-ए-ग़म-ए-दुनिया
हैं इतने गिले-शिकवे तो मर क्यूँ नहीं जाते

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari