sard mausam mein hawa to nahin maangi jaati | सर्द मौसम में हवा तो नहीं माँगी जाती

  - Dharmesh bashar

sard mausam mein hawa to nahin maangi jaati
chhat tapkane pe ghatta to nahin maangi jaati

tu kisi aur ke collar mein saja phool hai yaar
tujhko paane kii dua to nahin maangi jaati

jiski uryaani chhupaai ho andheri shab ne
kya kare vo ki ziya to nahin maangi jaati

is muhabbat mein tijaarat nahin hoti mujhse
dil ke badle mein wafa to nahin maangi jaati

unko purkhon kii rivaayat pe hai kaata jaata
be-zabaanon se raza to nahin maangi jaati

jab se mansoob hua hai tu kisi aur ke saath
tere haathon kii hina to nahin maangi jaati

ek vo shakhs muqaddar mein nahin tha ki bashar
rab se kuchh aur ata to nahin maangi jaati

सर्द मौसम में हवा तो नहीं माँगी जाती
छत टपकने पे घटा तो नहीं माँगी जाती

तू किसी और के कॉलर में सजा फूल है यार
तुझको पाने की दुआ तो नहीं माँगी जाती

जिसकी उर्यानी छुपाई हो अँधेरी शब ने
क्या करे वो कि ज़िया तो नहीं माँगी जाती

इस मुहब्बत में तिजारत नहीं होती मुझसे
दिल के बदले में वफ़ा तो नहीं माँगी जाती

उनको पुरखों की रिवायत पे है काटा जाता
बे-ज़बानों से रज़ा तो नहीं माँगी जाती

जब से मंसूब हुआ है तू किसी और के साथ
तेरे हाथों की हिना तो नहीं माँगी जाती

एक वो शख़्स मुक़द्दर में नहीं था कि 'बशर'
रब से कुछ और अता तो नहीं माँगी जाती

  - Dharmesh bashar

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari