taaseer-e-ishq kya hai unhen kuchh khabar nahin | तासीर-ए-इश्क़ क्या है उन्हें कुछ ख़बर नहीं

  - Dharmesh bashar

taaseer-e-ishq kya hai unhen kuchh khabar nahin
ye bhi hai kya asar jo idhar hai udhar nahin

khaali musafiron se meri raahguzaar nahin
par ye bhi sach hai koii shareek-e-safar nahin

paas-e-adab ne dast-e-talab rok hi liya
dil mein bhale hi haan hai labon par magar nahin

dil chhod jaayen gar to kahaan jaayen ranj-o-gham
ye unki milkiiyat hai kiraye ka ghar nahin

daagh-e-lahoo jahaan na mile ai musafiron
chaale gawaah hai vo meri raahguzaar nahin

gir paaye ham na daur kii nichli hadon talak
laakhon hunar hain ham mein magar ye hunar nahin

qaasid ne jo kaha to laga hai vo aayenge
par kehta tajurba ki khabar motabar nahin

jismein bashar na yaad-e-sanam ho na dard ho
vo dil bhi dil nahin vo jigar bhi jigar nahin

तासीर-ए-इश्क़ क्या है उन्हें कुछ ख़बर नहीं
ये भी है क्या असर जो इधर है उधर नहीं

ख़ाली मुसाफ़िरों से मिरी रहगुज़र नहीं
पर ये भी सच है कोई शरीक-ए-सफ़र नहीं

पास-ए-अदब ने दस्त-ए-तलब रोक ही लिया
दिल में भले ही हाँ है लबों पर मगर नहीं

दिल छोड़ जाएँ गर तो कहाँ जाएँ रंज-ओ-ग़म
ये उनकी मिल्कियत है किराए का घर नहीं

दाग़-ए-लहू जहाँ न मिले ऐ मुसाफ़िरों
छाले गवाह है वो मिरी रहगुज़र नहीं

गिर पाए हम न दौर की निचली हदों तलक
लाखों हुनर हैं हम में मगर ये हुनर नहीं

क़ासिद ने जो कहा तो लगा है वो आएँगे
पर कहता तजरबा कि ख़बर मोतबर नहीं

जिसमें 'बशर' न याद-ए-सनम हो न दर्द हो
वो दिल भी दिल नहीं वो जिगर भी जिगर नहीं

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari