zindagi ke naam par ghut ghutke marna chhod de | ज़िन्दगी के नाम पर घुट घुटके मरना छोड़ दे

  - Dharmesh bashar

zindagi ke naam par ghut ghutke marna chhod de
khwaab se kahiye ki taabiron ka peecha chhod de

vo saraapa gul agar mujhko akela chhod de
meri ghazalon mein gul-e-naghma mahakna chhod de

kab se darwaaze pe dastak de rahi hai zindagi
ai gham-e-jaanaan mujhe kuchh der tanhaa chhod de

aa isi par muttafiq ho len raqeeb-e-roo-siyaah
main bhi sehra chhodta hoon tu bhi laila chhod de

soch kii galiyon mein raatein thokren khaati phiren
us dariche se agar mahtaab ugna chhod de

apne hi jhonkon se bujh jaaye na ye apna diya
la ke sam par ab mere geeton ko lahara chhod de

jiski fitrat mein na ho husn-e-anaa ka baankpan
vo qabeele se nikal jaaye qabeela chhod de

ab to karna hi padega faisla tujhko bashar
ya to ghar ko ghar samajh ya ghar ka rasta chhod de

ज़िन्दगी के नाम पर घुट घुटके मरना छोड़ दे
ख़्वाब से कहिए कि ताबीरों का पीछा छोड़ दे

वो सरापा गुल अगर मुझको अकेला छोड़ दे
मेरी ग़ज़लों में गुल-ए-नग़्मा महकना छोड़ दे

कब से दरवाज़े पे दस्तक दे रही है ज़िन्दगी
ऐ ग़म-ए-जानाँ मुझे कुछ देर तन्हा छोड़ दे

आ इसी पर मुत्तफ़िक़ हो लें रक़ीब-ए-रू-सियाह
मैं भी सहरा छोड़ता हूँ तू भी लैला छोड़ दे

सोच की गलियों में रातें ठोकरें खाती फिरें
उस दरीचे से अगर महताब उगना छोड़ दे

अपने ही झोंकों से बुझ जाए न ये अपना दिया
ला के सम पर अब मिरे गीतों को लहरा छोड़ दे

जिसकी फ़ितरत में न हो हुस्न-ए-अना का बाँकपन
वो क़बीले से निकल जाए क़बीला छोड़ दे

अब तो करना ही पड़ेगा फ़ैसला तुझको 'बशर'
या तो घर को घर समझ या घर का रस्ता छोड़ दे

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari