ek naye saanche mein dhal jaata hoon main | एक नए साँचे में ढल जाता हूँ मैं

  - Bharat Bhushan Pant

ek naye saanche mein dhal jaata hoon main
qatra qatra roz pighal jaata hoon main

jab se vo ik suraj mujh mein dooba hai
khud ko bhi chhoo loon to jal jaata hoon main

aaina bhi hairaani mein dooba hai
itna kaise roz badal jaata hoon main

meethi meethi baaton mein ma'aloom nahin
jaane kitna zahar ugal jaata hoon main

ab thokar khaane ka mujh ko khauf nahin
girta hoon to aur sambhal jaata hoon main

akshar ab apna peecha karte karte
khud se kitni door nikal jaata hoon main

एक नए साँचे में ढल जाता हूँ मैं
क़तरा क़तरा रोज़ पिघल जाता हूँ मैं

जब से वो इक सूरज मुझ में डूबा है
ख़ुद को भी छू लूँ तो जल जाता हूँ मैं

आईना भी हैरानी में डूबा है
इतना कैसे रोज़ बदल जाता हूँ मैं

मीठी मीठी बातों में मा'लूम नहीं
जाने कितना ज़हर उगल जाता हूँ मैं

अब ठोकर खाने का मुझ को ख़ौफ़ नहीं
गिरता हूँ तो और सँभल जाता हूँ मैं

अक्सर अब अपना पीछा करते करते
ख़ुद से कितनी दूर निकल जाता हूँ मैं

  - Bharat Bhushan Pant

More by Bharat Bhushan Pant

As you were reading Shayari by Bharat Bhushan Pant

Similar Writers

our suggestion based on Bharat Bhushan Pant

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari