aur kehne ko ab bacha kya hai
vo nahin jaanta wafa kya hai
chhodkar ja raha hoon main to ab
usse bhi poocho faisla kya hai
ab koii jaanta nahin mujhko
ab tira mujhse vaasta kya hai
tujhmein jab ishq hi nahin dikhta
tujhmein har shakhs dekhta kya hai
shor karta hai toot jaane par
dil ke aage ye aaina kya hai
और कहने को अब बचा क्या है
वो नहीं जानता वफ़ा क्या है
छोड़कर जा रहा हूँ मैं तो अब
उससे भी पूछो फ़ैसला क्या है
अब कोई जानता नहीं मुझको
अब तिरा मुझसे वास्ता क्या है
तुझमें जब इश्क़ ही नहीं दिखता
तुझमें हर शख़्स देखता क्या है
शोर करता है टूट जाने पर
दिल के आगे ये आइना क्या है
As you were reading Shayari by Bhuwan Singh
our suggestion based on Bhuwan Singh
As you were reading undefined Shayari