achhi soorat pe gazab toot ke aana dil ka | अच्छी सूरत पे ग़ज़ब टूट के आना दिल का - Dagh Dehlvi

achhi soorat pe gazab toot ke aana dil ka
yaad aata hai hamein haaye zamaana dil ka

tum bhi munh choom lo be-saakhta pyaar aa jaaye
main sunaau jo kabhi dil se fasana dil ka

nigah-e-yaar ne ki khana-kharaabi aisi
na thikaana hai jigar ka na thikaana dil ka

poori mehndi bhi lagaani nahin aati ab tak
kyunkar aaya tujhe ghairoon se lagana dil ka

guncha-e-gul ko vo mutthi mein liye aate the
main ne poocha to kiya mujh se bahaana dil ka

in haseenon ka ladakpan hi rahe ya allah
hosh aata hai to aata hai sataana dil ka

de khuda aur jagah seena o pahluu ke siva
ki bure waqt mein ho jaaye thikaana dil ka

meri aaghosh se kya hi vo tadap kar nikle
un ka jaana tha ilaahi ki ye jaana dil ka

nigah-e-sharm ko be-taab kiya kaam kiya
rang laaya tiri aankhon mein samaana dil ka

ungaliyaan taar-e-garebaan mein uljh jaati hain
sakht dushwaar hai haathon se dabana dil ka

hoor ki shakl ho tum noor ke putle ho tum
aur is par tumhein aata hai jalana dil ka

chhod kar us ko tiri bazm se kyunkar jaaun
ik janaaze ka uthaana hai uthaana dil ka

be-dili ka jo kaha haal to farmaate hain
kar liya tu ne kahi aur thikaana dil ka

ba'ad muddat ke ye ai daagh samajh mein aaya
wahi daana hai kaha jis ne na maana dil ka

अच्छी सूरत पे ग़ज़ब टूट के आना दिल का
याद आता है हमें हाए ज़माना दिल का

तुम भी मुँह चूम लो बे-साख़्ता प्यार आ जाए
मैं सुनाऊँ जो कभी दिल से फ़साना दिल का

निगह-ए-यार ने की ख़ाना-ख़राबी ऐसी
न ठिकाना है जिगर का न ठिकाना दिल का

पूरी मेहंदी भी लगानी नहीं आती अब तक
क्यूँकर आया तुझे ग़ैरों से लगाना दिल का

ग़ुंचा-ए-गुल को वो मुट्ठी में लिए आते थे
मैं ने पूछा तो किया मुझ से बहाना दिल का

इन हसीनों का लड़कपन ही रहे या अल्लाह
होश आता है तो आता है सताना दिल का

दे ख़ुदा और जगह सीना ओ पहलू के सिवा
कि बुरे वक़्त में हो जाए ठिकाना दिल का

मेरी आग़ोश से क्या ही वो तड़प कर निकले
उन का जाना था इलाही कि ये जाना दिल का

निगह-ए-शर्म को बे-ताब किया काम किया
रंग लाया तिरी आँखों में समाना दिल का

उँगलियाँ तार-ए-गरेबाँ में उलझ जाती हैं
सख़्त दुश्वार है हाथों से दबाना दिल का

हूर की शक्ल हो तुम नूर के पुतले हो तुम
और इस पर तुम्हें आता है जलाना दिल का

छोड़ कर उस को तिरी बज़्म से क्यूँकर जाऊँ
इक जनाज़े का उठाना है उठाना दिल का

बे-दिली का जो कहा हाल तो फ़रमाते हैं
कर लिया तू ने कहीं और ठिकाना दिल का

बा'द मुद्दत के ये ऐ 'दाग़' समझ में आया
वही दाना है कहा जिस ने न माना दिल का

- Dagh Dehlvi
2 Likes

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari