is nahin ka koi ilaaj nahin | इस नहीं का कोई इलाज नहीं

  - Dagh Dehlvi

is nahin ka koi ilaaj nahin
roz kahte hain aap aaj nahin

kal jo tha aaj vo mizaaj nahin
is talavvun ka kuchh ilaaj nahin

aaina dekhte hi itraaye
phir ye kya hai agar mizaaj nahin

le ke dil rakh lo kaam aayega
go abhi tum ko ehtiyaaj nahin

ho saken ham mizaaj-daan kyunkar
ham ko milta tira mizaaj nahin

chup lagi laal-e-jaan-faza ko tire
is maseeha ka kuchh ilaaj nahin

dil-e-be-muddaa khuda ne diya
ab kisi shay ki ehtiyaaj nahin

khote daamon mein ye bhi kya thehra
dirham-e-'daagh ka rivaaj nahin

be-niyaazi ki shaan kahti hai
bandagi ki kuchh ehtiyaaj nahin

dil-lagi kijie raqeebon se
is tarah ka mera mizaaj nahin

ishq hai paadshaah-e-aalam-geer
garche zaahir mein takht-o-taaj nahin

dard-e-furqat ki go dava hai visaal
is ke qaabil bhi har mizaaj nahin

yaas ne kya bujha diya dil ko
ki tadap kaisi ikhtilaaj nahin

ham to seerat-pasand aashiq hain
khoob-roo kya jo khush-mizaj nahin

hoor se poochta hoon jannat mein
is jagah kya buton ka raaj nahin

sabr bhi dil ko daagh de lenge
abhi kuchh is ki ehtiyaaj nahin

इस नहीं का कोई इलाज नहीं
रोज़ कहते हैं आप आज नहीं

कल जो था आज वो मिज़ाज नहीं
इस तलव्वुन का कुछ इलाज नहीं

आइना देखते ही इतराए
फिर ये क्या है अगर मिज़ाज नहीं

ले के दिल रख लो काम आएगा
गो अभी तुम को एहतियाज नहीं

हो सकें हम मिज़ाज-दाँ क्यूँकर
हम को मिलता तिरा मिज़ाज नहीं

चुप लगी लाल-ए-जाँ-फ़ज़ा को तिरे
इस मसीहा का कुछ इलाज नहीं

दिल-ए-बे-मुद्दआ ख़ुदा ने दिया
अब किसी शय की एहतियाज नहीं

खोटे दामों में ये भी क्या ठहरा
दिरहम-ए-'दाग़' का रिवाज नहीं

बे-नियाज़ी की शान कहती है
बंदगी की कुछ एहतियाज नहीं

दिल-लगी कीजिए रक़ीबों से
इस तरह का मिरा मिज़ाज नहीं

इश्क़ है पादशाह-ए-आलम-गीर
गरचे ज़ाहिर में तख़्त-ओ-ताज नहीं

दर्द-ए-फ़ुर्क़त की गो दवा है विसाल
इस के क़ाबिल भी हर मिज़ाज नहीं

यास ने क्या बुझा दिया दिल को
कि तड़प कैसी इख़्तिलाज नहीं

हम तो सीरत-पसंद आशिक़ हैं
ख़ूब-रू क्या जो ख़ुश-मिज़ाज नहीं

हूर से पूछता हूँ जन्नत में
इस जगह क्या बुतों का राज नहीं

सब्र भी दिल को 'दाग़' दे लेंगे
अभी कुछ इस की एहतियाज नहीं

  - Dagh Dehlvi

Jannat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Jannat Shayari Shayari