falak deta hai jin ko aish un ko gham bhi hote hain | फ़लक देता है जिन को ऐश उन को ग़म भी होते हैं

  - Dagh Dehlvi

falak deta hai jin ko aish un ko gham bhi hote hain
jahaan bajte hain naqqaare wahin maatam bhi hote hain

gile shikwe kahaan tak honge aadhi raat to guzri
pareshaan tum bhi hote ho pareshaan ham bhi hote hain

jo rakhe chaaragar kafoor dooni aag lag jaaye
kahi ye zakhm-e-dil sharminda-e-marham bhi hote hain

vo aankhen saamri-fan hain vo lab eesa-nafs dekho
mujhi par seher hote hain mujhi par dam bhi hote hain

zamaana dosti par in haseenon ki na itraaye
ye aalam-dost akshar dushman-e-aalam bhi hote hain

b-zaahir rehnuma hain aur dil mein bad-gumaani hai
tire kooche mein jo jaata hai aage ham bhi hote hain

hamaare aansuon ki aabdaari aur hi kuchh hai
ki yun hone ko raushan gauhar-e-shabnam bhi hote hain

khuda ke ghar mein kya hai kaam zaahid baada-khwaaron ka
jinhen milti nahin vo tishna-e-zamzam bhi hote hain

hamaare saath hi paida hua hai ishq ai naaseh
judaai kis tarah se ho juda tavaam bhi hote hain

nahin ghatti shab-e-furqat bhi akshar ham ne dekha hai
jo badh jaate hain had se vo hi ghat kar kam bhi hote hain

bachaaun pairhan kya chaaragar main dast-e-vahshat se
kahi aise garebaan daaman-e-maryam bhi hote hain

tabeeyat ki kajee hargiz mitaaye se nahin mitati
kabhi seedhe tumhaare gesoo-e-pur-kham bhi hote hain

jo kehta hoon ki marta hoon to farmaate hain mar jaao
jo ghash aata hai to mujh par hazaaron dam bhi hote hain

kisi ka vaada-e-deedaar to ai daagh bar-haq hai
magar ye dekhiye dil-shaad us din ham bhi hote hain

फ़लक देता है जिन को ऐश उन को ग़म भी होते हैं
जहाँ बजते हैं नक़्क़ारे वहीं मातम भी होते हैं

गिले शिकवे कहाँ तक होंगे आधी रात तो गुज़री
परेशाँ तुम भी होते हो परेशाँ हम भी होते हैं

जो रक्खे चारागर काफ़ूर दूनी आग लग जाए
कहीं ये ज़ख़्म-ए-दिल शर्मिंदा-ए-मरहम भी होते हैं

वो आँखें सामरी-फ़न हैं वो लब ईसा-नफ़स देखो
मुझी पर सेहर होते हैं मुझी पर दम भी होते हैं

ज़माना दोस्ती पर इन हसीनों की न इतराए
ये आलम-दोस्त अक्सर दुश्मन-ए-आलम भी होते हैं

ब-ज़ाहिर रहनुमा हैं और दिल में बद-गुमानी है
तिरे कूचे में जो जाता है आगे हम भी होते हैं

हमारे आँसुओं की आबदारी और ही कुछ है
कि यूँ होने को रौशन गौहर-ए-शबनम भी होते हैं

ख़ुदा के घर में क्या है काम ज़ाहिद बादा-ख़्वारों का
जिन्हें मिलती नहीं वो तिश्ना-ए-ज़मज़म भी होते हैं

हमारे साथ ही पैदा हुआ है इश्क़ ऐ नासेह
जुदाई किस तरह से हो जुदा तवाम भी होते हैं

नहीं घटती शब-ए-फ़ुर्क़त भी अक्सर हम ने देखा है
जो बढ़ जाते हैं हद से वो ही घट कर कम भी होते हैं

बचाऊँ पैरहन क्या चारागर मैं दस्त-ए-वहशत से
कहीं ऐसे गरेबाँ दामन-ए-मरयम भी होते हैं

तबीअत की कजी हरगिज़ मिटाए से नहीं मिटती
कभी सीधे तुम्हारे गेसू-ए-पुर-ख़म भी होते हैं

जो कहता हूँ कि मरता हूँ तो फ़रमाते हैं मर जाओ
जो ग़श आता है तो मुझ पर हज़ारों दम भी होते हैं

किसी का वादा-ए-दीदार तो ऐ 'दाग़' बर-हक़ है
मगर ये देखिए दिल-शाद उस दिन हम भी होते हैं

  - Dagh Dehlvi

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari