inheen khwaabon pe khush hona inheen khwaabon se dar jaana
tamasha ban gaya inke liye apna to mar jaana
sikhaaya tha tumhin ne aarzoo ko dar-b-dar phirna
tumhin ne zindagi ko is qadar kyun mukhtasar jaana
kai din se hamein ye kaam bhi raas aa gaya ya rab
savere ko simatna raat ko phir se bikhar jaana
abhi tak hai khayaalon mein wahi tasveer gham uska
bahut maasoom palkon par samandar ka thehar jaana
bhare baithe the phir bhi ham na roye khud-farebi par
tiri manzil ko hamne ajnabi kii raahguzaar jaana
badi hi qeemti shay thi nazar apni zamaane mein
isi ko jaam-e-jam samjhe isi ko motabar jaana
jo ham dekhen tiri jaanib to tera rukh badal jaaye
isi gardish ko hamne gardish-e-shaam-o-sehr jaana
saba kii raahguzaar par ik sehar khushboo chali aise
musafaat kam rahi lekin bahut lamba safar jaana
इन्हीं ख़्वाबों पे ख़ुश होना इन्हीं ख़्वाबों से डर जाना
तमाशा बन गया इनके लिए अपना तो मर जाना
सिखाया था तुम्हीं ने आरज़ू को दर-ब-दर फिरना
तुम्हीं ने ज़िंदगी को इस क़दर क्यूँ मुख़्तसर जाना
कई दिन से हमें ये काम भी रास आ गया या रब
सवेरे को सिमटना रात को फिर से बिखर जाना
अभी तक है ख़यालों में वही तस्वीर ग़म उसका
बहुत मासूम पलकों पर समंदर का ठहर जाना
भरे बैठे थे फिर भी हम न रोए ख़ुद-फ़रेबी पर
तिरी मंज़िल को हमने अजनबी की रहगुज़र जाना
बड़ी ही क़ीमती शय थी नज़र अपनी ज़माने में
इसी को जाम-ए-जम समझे इसी को मोतबर जाना
जो हम देखें तिरी जानिब तो तेरा रुख़ बदल जाए
इसी गर्दिश को हमने गर्दिश-ए-शाम-ओ-सहर जाना
'सबा' की रहगुज़र पर इक सहर ख़ुशबू चली ऐसे
मुसाफ़त कम रही लेकिन बहुत लम्बा सफ़र जाना
As you were reading Shayari by divya 'sabaa'
our suggestion based on divya 'sabaa'
As you were reading undefined Shayari