tum apne lab pe kabhi harf-e-muddaa na rakho
faza-shanas ho dahleez par diya na rakho
ye kah ke raat ke aanchal mein chhup gaya suraj
bahut taveel umeedon ka silsila na rakho
vo rooth jaaye to jeena muhaal ho jaaye
kisi se itna ziyaada bhi vaasta na rakho
khuda-e-khwaasta padh le koii bacha ke nazar
bura na maano to khat mez par khula na rakho
nazar se door agar hon to koii baat nahin
dilon ke beech saba itna fasla na rakho
तुम अपने लब पे कभी हर्फ़-ए-मुद्दआ न रखो
फ़ज़ा-शनास हो दहलीज़ पर दिया न रखो
ये कह के रात के आँचल में छुप गया सूरज
बहुत तवील उमीदों का सिलसिला न रखो
वो रूठ जाए तो जीना मुहाल हो जाए
किसी से इतना ज़ियादा भी वास्ता न रखो
ख़ुदा-ए-ख़्वास्ता पढ़ ले कोई बचा के नज़र
बुरा न मानो तो ख़त मेज़ पर खुला न रखो
नज़र से दूर अगर हों तो कोई बात नहीं
दिलों के बीच 'सबा' इतना फ़ासला न रखो
As you were reading Shayari by divya 'sabaa'
our suggestion based on divya 'sabaa'
As you were reading undefined Shayari