usne bigad ke mujh se kaha baat baat mein | उसने बिगड़ के मुझ से कहा बात बात में

  - divya 'sabaa'

usne bigad ke mujh se kaha baat baat mein
rote nahin yun ahl-e-wafa baat baat mein

kuchh baat thi jo us kii zabaan kah nahin saki
kuchh soch soch kar vo ruka baat baat mein

us kii bhi chashm nam hui dauraan-e-guftgoo
yaad aa gaya mujhe bhi khuda baat baat mein

jab ilm se kamaal dikhaaya b-faiz-e-ishq
phir zindagi ka raaz khula baat baat mein

manzar na ghar na raah na manzil na raahatein
sab kuchh kisi ne cheen liya baat baat mein

itne khayal hain ki mere sar pe dhoop thi
jaane kab aftaab dhala baat baat mein

yun to idhar udhar kii hi baatein banata hai
par leta hai vo naam saba baat baat mein

उसने बिगड़ के मुझ से कहा बात बात में
रोते नहीं यूँ अहल-ए-वफ़ा बात बात में

कुछ बात थी जो उस की ज़बाँ कह नहीं सकी
कुछ सोच सोच कर वो रुका बात बात में

उस की भी चश्म नम हुई दौरान-ए-गुफ़्तगू
याद आ गया मुझे भी ख़ुदा बात बात में

जब इल्म से कमाल दिखाया ब-फ़ैज़-ए-इश्क़
फिर ज़िन्दगी का राज़ खुला बात बात में

मंज़र न घर न राह न मंज़िल न राहतें
सब कुछ किसी ने छीन लिया बात बात में

इतने ख़याल हैं कि मेरे सर पे धूप थी
जाने कब आफ़ताब ढला बात बात में

यूँ तो इधर उधर की ही बातें बनाता है
पर लेता है वो नाम सबा बात बात में

  - divya 'sabaa'

More by divya 'sabaa'

As you were reading Shayari by divya 'sabaa'

Similar Writers

our suggestion based on divya 'sabaa'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari