tum ne dekhe hain agar haath pasaare hue log | तुम ने देखे हैं अगर हाथ पसारे हुए लोग

  - Irshad 'Arsh'

tum ne dekhe hain agar haath pasaare hue log
haan wahi log hain haalaat ke maare hue log

bas wahi sab ke jo hamraah the saaye ki tarah
chhod kar ham ko museebat mein kinaare hue log

ibn-e-aadam tujhe maaloom hai azmat un ki
tere maa baap the jannat se utaare hue log

chhoti si umr se pairo'n pe khade hain apne
ham bhi ik waqt the iflaas ke maare hue log

is bayaabaan mein mehkenge gulaabon ki tarah
dekh lena mere haathon ke sanwaare hue log

तुम ने देखे हैं अगर हाथ पसारे हुए लोग
हाँ वही लोग हैं हालात के मारे हुए लोग

बस वही सब के जो हमराह थे साए की तरह
छोड़ कर हम को मुसीबत में किनारे हुए लोग

इब्न-ए-आदम तुझे मालूम है अज़मत उन की
तेरे माँ बाप थे जन्नत से उतारे हुए लोग

छोटी सी उम्र से पैरों पे खड़े हैं अपने
हम भी इक वक़्त थे इफ़्लास के मारे हुए लोग

इस बयाबान में महकेंगे गुलाबों की तरह
देख लेना मेरे हाथों के सँवारे हुए लोग

  - Irshad 'Arsh'

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Irshad 'Arsh'

As you were reading Shayari by Irshad 'Arsh'

Similar Writers

our suggestion based on Irshad 'Arsh'

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari