adhuri ladkiyo | अधूरी लड़कियो - Javaid Anwar

adhuri ladkiyo
tum apne kamron mein purane saal ke bosida calendar saja kar sochti ho
ye badan umron ki saazish mein na aayenge
tumhein kis ne bataaya hai
ghadi ki sooiyon ko rokne se daudta aur haanfta suraj misaal-e-naqsh-e-paa
aflaak par jam jaayega
tumhein maaloom hai uryaaniyon ko dhanp kar tum aur uryaan ho rahi ho
roz in aankhon ki tikḍi mein tumhaare jism tulte hain
har ik shab hostel mein taash ki baazi mein tum ko jeet kar ik jashn hota hai
hamaari khwaab-gaahon mein tumhaare khwaab raushan hain
chali aao
ki baahar barf hai
aur ab hamein tum se juda bistar kahaan tasleem karte hain
chali aao ki umren raayegaan hone se bach jaayen

अधूरी लड़कियो
तुम अपने कमरों में पुराने साल के बोसीदा कैलन्डर सजा कर सोचती हो
ये बदन उम्रों की साज़िश में न आएँगे
तुम्हें किस ने बताया है
घड़ी की सूइयों को रोकने से दौड़ता और हाँफता सूरज मिसाल-ए-नक़्श-ए-पा
अफ़्लाक पर जम जाएगा
तुम्हें मालूम है उर्यानियों को ढाँप कर तुम और उर्यां हो रही हो
रोज़ इन आँखों की तिकड़ी में तुम्हारे जिस्म तुलते हैं
हर इक शब हॉस्टल में ताश की बाज़ी में तुम को जीत कर इक जश्न होता है
हमारी ख़्वाब-गाहों में तुम्हारे ख़्वाब रौशन हैं
चली आओ
कि बाहर बर्फ़ है
और अब हमें तुम से जुदा बिस्तर कहाँ तस्लीम करते हैं
चली आओ कि उम्रें राएगाँ होने से बच जाएँ!

- Javaid Anwar
0 Likes

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javaid Anwar

As you were reading Shayari by Javaid Anwar

Similar Writers

our suggestion based on Javaid Anwar

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari