aadmi aadmi se milta hai | आदमी आदमी से मिलता है

  - Jigar Moradabadi

aadmi aadmi se milta hai
dil magar kam kisi se milta hai

bhool jaata hoon main sitam us ke
vo kuchh is saadgi se milta hai

aaj kya baat hai ki phoolon ka
rang teri hasi se milta hai

silsila fitna-e-qayaamat ka
teri khush-qaaamati se milta hai

mil ke bhi jo kabhi nahin milta
toot kar dil usi se milta hai

kaarobaar-e-jahaan sanvarte hain
hosh jab be-khudi se milta hai

rooh ko bhi maza mohabbat ka
dil ki hum-saayegi se milta hai

आदमी आदमी से मिलता है
दिल मगर कम किसी से मिलता है

भूल जाता हूँ मैं सितम उस के
वो कुछ इस सादगी से मिलता है

आज क्या बात है कि फूलों का
रंग तेरी हँसी से मिलता है

सिलसिला फ़ित्ना-ए-क़यामत का
तेरी ख़ुश-क़ामती से मिलता है

मिल के भी जो कभी नहीं मिलता
टूट कर दिल उसी से मिलता है

कारोबार-ए-जहाँ सँवरते हैं
होश जब बे-ख़ुदी से मिलता है

रूह को भी मज़ा मोहब्बत का
दिल की हम-साएगी से मिलता है

  - Jigar Moradabadi

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari