shaayar-e-fitrat hoon jab bhi fikr farmaata hoon main
rooh ban kar zarre zarre mein samaa jaata hoon main
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hoon main
jaise har shay mein kisi shay ki kami paata hoon main
jis qadar afsaana-e-hasti ko doharaata hoon main
aur bhi be-gaana-e-hasti hua jaata hoon main
jab makaan-o-la-makaan sab se guzar jaata hoon main
allah allah tujh ko khud apni jagah paata hoon main
teri soorat ka jo aaina use paata hoon main
apne dil par aap kya kya naaz farmaata hoon main
yak-b-yak ghabra ke jitni door hat aata hoon main
aur bhi us shokh ko nazdeek-tar paata hoon main
meri hasti shauq-e-paiham meri fitrat iztiraab
koi manzil ho magar guzra chala jaata hoon main
haaye-ree majbooriyaan tark-e-mohabbat ke liye
mujh ko samjhaate hain vo aur un ko samjhaata hoon main
meri himmat dekhna meri tabeeyat dekhna
jo suljh jaati hai gutthi phir se uljhaata hoon main
husn ko kya dushmani hai ishq ko kya bair hai
apne hi qadmon ki khud hi thokren khaata hoon main
teri mehfil tere jalwe phir taqaza kya zaroor
le utha jaata hoon zalim le chala jaata hoon main
ta-kuja ye parda-daari-ha-e-ishq-o-laaf-e-husn
haan sambhal jaayen do-aalam hosh mein aata hoon main
meri khaatir ab vo takleef-e-tajalli kyun karein
apni gard-e-shauq mein khud hi chhupa jaata hoon main
dil mujassam sher-o-naghma vo saraapa rang-o-boo
kya fazaayein hain ki jin mein hal hua jaata hoon main
ta-kuja zabt-e-mohabbat ta-kuja dard-e-firaq
rehm kar mujh par ki tera raaz kahlaata hoon main
waah-re shauq-e-shahaadat koo-e-qaatil ki taraf
gungunata raqs karta jhoomta jaata hoon main
ya vo soorat khud jahaan-e-rang-o-boo mahkoom tha
ya ye aalam apne saaye se daba jaata hoon main
dekhna is ishq ki ye turfa-kaari dekhna
vo jafaa karte hain mujh par aur sharmaata hoon main
ek dil hai aur toofaan-e-haawadis ai jigar
ek sheesha hai ki har patthar se takraata hoon main
शाएर-ए-फ़ितरत हूँ जब भी फ़िक्र फ़रमाता हूँ मैं
रूह बन कर ज़र्रे ज़र्रे में समा जाता हूँ मैं
आ कि तुझ बिन इस तरह ऐ दोस्त घबराता हूँ मैं
जैसे हर शय में किसी शय की कमी पाता हूँ मैं
जिस क़दर अफ़्साना-ए-हस्ती को दोहराता हूँ मैं
और भी बे-गाना-ए-हस्ती हुआ जाता हूँ मैं
जब मकान-ओ-ला-मकाँ सब से गुज़र जाता हूँ मैं
अल्लाह अल्लाह तुझ को ख़ुद अपनी जगह पाता हूँ मैं
तेरी सूरत का जो आईना उसे पाता हूँ मैं
अपने दिल पर आप क्या क्या नाज़ फ़रमाता हूँ मैं
यक-ब-यक घबरा के जितनी दूर हट आता हूँ मैं
और भी उस शोख़ को नज़दीक-तर पाता हूँ मैं
मेरी हस्ती शौक़-ए-पैहम मेरी फ़ितरत इज़्तिराब
कोई मंज़िल हो मगर गुज़रा चला जाता हूँ मैं
हाए-री मजबूरियाँ तर्क-ए-मोहब्बत के लिए
मुझ को समझाते हैं वो और उन को समझाता हूँ मैं
मेरी हिम्मत देखना मेरी तबीअत देखना
जो सुलझ जाती है गुत्थी फिर से उलझाता हूँ मैं
हुस्न को क्या दुश्मनी है इश्क़ को क्या बैर है
अपने ही क़दमों की ख़ुद ही ठोकरें खाता हूँ मैं
तेरी महफ़िल तेरे जल्वे फिर तक़ाज़ा क्या ज़रूर
ले उठा जाता हूँ ज़ालिम ले चला जाता हूँ मैं
ता-कुजा ये पर्दा-दारी-हा-ए-इश्क़-ओ-लाफ़-ए-हुस्न
हाँ सँभल जाएँ दो-आलम होश में आता हूँ मैं
मेरी ख़ातिर अब वो तकलीफ़-ए-तजल्ली क्यूँ करें
अपनी गर्द-ए-शौक़ में ख़ुद ही छुपा जाता हूँ मैं
दिल मुजस्सम शेर-ओ-नग़्मा वो सरापा रंग-ओ-बू
क्या फ़ज़ाएँ हैं कि जिन में हल हुआ जाता हूँ मैं
ता-कुजा ज़ब्त-ए-मोहब्बत ता-कुजा दर्द-ए-फ़िराक़
रहम कर मुझ पर कि तेरा राज़ कहलाता हूँ मैं
वाह-रे शौक़-ए-शहादत कू-ए-क़ातिल की तरफ़
गुनगुनाता रक़्स करता झूमता जाता हूँ मैं
या वो सूरत ख़ुद जहान-ए-रंग-ओ-बू महकूम था
या ये आलम अपने साए से दबा जाता हूँ मैं
देखना इस इश्क़ की ये तुरफ़ा-कारी देखना
वो जफ़ा करते हैं मुझ पर और शरमाता हूँ मैं
एक दिल है और तूफ़ान-ए-हवादिस ऐ 'जिगर'
एक शीशा है कि हर पत्थर से टकराता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi
our suggestion based on Jigar Moradabadi
As you were reading Adaa Shayari Shayari