soz-e-gham de ke mujhe us ne ye irshaad kiya
ja tujhe kashmakash-e-dehr se azaad kiya
vo karein bhi to kin alfaaz mein tera shikwa
jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya
dil ki choton ne kabhi chain se rahne na diya
jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya
ai main sau jaan se is tarz-e-takallum ke nisaar
phir to farmaiye kya aap ne irshaad kiya
is ka rona nahin kyun tum ne kiya dil barbaad
is ka gham hai ki bahut der mein barbaad kiya
itna maanoos hoon fitrat se kali jab chatki
jhuk ke main ne ye kaha mujh se kuchh irshaad kiya
meri har saans hai is baat ki shaahid ai maut
main ne har lutf ke mauqe pe tujhe yaad kiya
mujh ko to hosh nahin tum ko khabar ho shaayad
log kahte hain ki tum ne mujhe barbaad kiya
kuchh nahin is ke siva josh hareefon ka kalaam
vasl ne shaad kiya hijr ne naashaad kiya
सोज़-ए-ग़म दे के मुझे उस ने ये इरशाद किया
जा तुझे कशमकश-ए-दहर से आज़ाद किया
वो करें भी तो किन अल्फ़ाज़ में तेरा शिकवा
जिन को तेरी निगह-ए-लुत्फ़ ने बर्बाद किया
दिल की चोटों ने कभी चैन से रहने न दिया
जब चली सर्द हवा मैं ने तुझे याद किया
ऐ मैं सौ जान से इस तर्ज़-ए-तकल्लुम के निसार
फिर तो फ़रमाइए क्या आप ने इरशाद किया
इस का रोना नहीं क्यूँ तुम ने किया दिल बर्बाद
इस का ग़म है कि बहुत देर में बर्बाद किया
इतना मानूस हूँ फ़ितरत से कली जब चटकी
झुक के मैं ने ये कहा मुझ से कुछ इरशाद किया
मेरी हर साँस है इस बात की शाहिद ऐ मौत
मैं ने हर लुत्फ़ के मौक़े पे तुझे याद किया
मुझ को तो होश नहीं तुम को ख़बर हो शायद
लोग कहते हैं कि तुम ने मुझे बर्बाद किया
कुछ नहीं इस के सिवा 'जोश' हरीफ़ों का कलाम
वस्ल ने शाद किया हिज्र ने नाशाद किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Josh Malihabadi
our suggestion based on Josh Malihabadi
As you were reading Tanz Shayari Shayari