ik yahi soz-e-nihaan kul mera sarmaaya hai | इक यही सोज़-ए-निहाँ कुल मिरा सरमाया है

  - Kaifi Azmi

ik yahi soz-e-nihaan kul mera sarmaaya hai
dosto main kise ye soz-e-nihaan nazr karoon
koi qaateel sar-e-maqtal nazar aata hi nahin
kis ko dil nazr karoon aur kise jaan nazr karoon
tum bhi mehboob mere tum bhi ho dildaar mere
aashna mujh se magar tum bhi nahin tum bhi nahin
khatm hai tum pe maseeha-nafsi charagari
mehram-e-dard-e-jigar tum bhi nahin tum bhi nahin
apni laash aap uthaana koi aasaan nahin
dast-o-baazu mere naakaara hue jaate hain
jin se har daur mein chamki hai tumhaari dahleez
aaj sajde wahi aawaara hue jaate hain
dard-e-manzil thi magar aisi bhi kuchh door na thi
le ke phirti rahi raaste hi mein vehshat mujh ko
ek zakham aisa na khaaya ki bahaar aa jaati
daar tak le ke gaya shauq-e-shahaadat mujh ko
raah mein toot gaye paanv to maaloom hua
juz mere aur mera raah-numa koi nahin
ek ke b'ad khuda ek chala aata tha
kah diya aql ne tang aa ke khuda koi nahin

इक यही सोज़-ए-निहाँ कुल मिरा सरमाया है
दोस्तो मैं किसे ये सोज़-ए-निहाँ नज़्र करूँ
कोई क़ातिल सर-ए-मक़्तल नज़र आता ही नहीं
किस को दिल नज़्र करूँ और किसे जाँ नज़्र करूँ
तुम भी महबूब मिरे, तुम भी हो दिलदार मिरे
आश्ना मुझ से मगर तुम भी नहीं, तुम भी नहीं
ख़त्म है तुम पे मसीहा-नफ़सी, चारागरी
महरम-ए-दर्द-ए-जिगर तुम भी नहीं तुम भी नहीं
अपनी लाश आप उठाना कोई आसान नहीं
दस्त-ओ-बाज़ू मिरे नाकारा हुए जाते हैं
जिन से हर दौर में चमकी है तुम्हारी दहलीज़
आज सज्दे वही आवारा हुए जाते हैं
दर्द-ए-मंज़िल थी, मगर ऐसी भी कुछ दूर न थी
ले के फिरती रही रस्ते ही में वहशत मुझ को
एक ज़ख़्म ऐसा न खाया कि बहार आ जाती
दार तक ले के गया शौक़-ए-शहादत मुझ को
राह में टूट गए पाँव तो मालूम हुआ
जुज़ मिरे और मिरा राह-नुमा कोई नहीं
एक के ब'अद ख़ुदा एक चला आता था
कह दिया अक़्ल ने तंग आ के ख़ुदा कोई नहीं

  - Kaifi Azmi

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari