main ye soch kar us ke dar se utha tha
ki vo rok legi manaa legi mujh ko
hawaon mein lehraata aata tha daaman
ki daaman pakad kar bitha legi mujh ko
qadam aise andaaz se uth rahe the
ki awaaz de kar bula legi mujh ko
magar us ne roka na mujh ko manaaya
na daaman hi pakda na mujh ko bithaaya
na awaaz hi di na mujh ko bulaaya
main aahista aahista badhta hi aaya
yahan tak ki us se juda ho gaya main
मैं ये सोच कर उस के दर से उठा था
कि वो रोक लेगी मना लेगी मुझ को
हवाओं में लहराता आता था दामन
कि दामन पकड़ कर बिठा लेगी मुझ को
क़दम ऐसे अंदाज़ से उठ रहे थे
कि आवाज़ दे कर बुला लेगी मुझ को
मगर उस ने रोका न मुझ को मनाया
न दामन ही पकड़ा न मुझ को बिठाया
न आवाज़ ही दी न मुझ को बुलाया
मैं आहिस्ता आहिस्ता बढ़ता ही आया
यहाँ तक कि उस से जुदा हो गया मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Adaa Shayari Shayari