shor yoonhi na parindon ne machaaya hoga | शोर यूँही न परिंदों ने मचाया होगा

  - Kaifi Azmi

shor yoonhi na parindon ne machaaya hoga
koi jungle ki taraf shehar se aaya hoga

ped ke kaatne waalon ko ye maaloom to tha
jism jal jaayenge jab sar pe na saaya hoga

baani-e-jashn-e-bahaaraan ne ye socha bhi nahin
kis ne kaanton ko lahu apna pilaaya hoga

bijli ke taar pe baitha hua hansta panchi
sochta hai ki vo jungle to paraaya hoga

apne jungle se jo ghabra ke ude the pyaase
har saraab un ko samundar nazar aaya hoga

शोर यूँही न परिंदों ने मचाया होगा
कोई जंगल की तरफ़ शहर से आया होगा

पेड़ के काटने वालों को ये मालूम तो था
जिस्म जल जाएँगे जब सर पे न साया होगा

बानी-ए-जश्न-ए-बहाराँ ने ये सोचा भी नहीं
किस ने काँटों को लहू अपना पिलाया होगा

बिजली के तार पे बैठा हुआ हँसता पंछी
सोचता है कि वो जंगल तो पराया होगा

अपने जंगल से जो घबरा के उड़े थे प्यासे
हर सराब उन को समुंदर नज़र आया होगा

  - Kaifi Azmi

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari