museebaton se bhari zindagi hai majnoon kii
shab-e-firaq mein laila dikhi hai majnoon kii
b-khoobi jaanti hai mera haal ye duniya
vo isliye ki udaasi likhi hai majnoon kii
lagega waqt talaffuz ko saaf hone mein
pakad ghazal pe abhi to bani hai majnoon kii
umad rahi hai jawaani bhi sab mein baar-e-digar
vo jab se photo puraani mili hai majnoon kii
मुसीबतों से भरी ज़िंदगी है मजनूँ की
शब-ए-फ़िराक़ में लैला दिखी है मजनूँ की
ब-ख़ूबी जानती है मेरा हाल ये दुनिया
वो इसलिए कि उदासी लिखी है मजनूँ की
लगेगा वक़्त तलफ़्फ़ुज़ को साफ़ होने में
पकड़ ग़ज़ल पे अभी तो बनी है मजनूँ की
उमड़ रही है जवानी भी सब में बार-ए-दिगर
वो जब से फोटो पुरानी मिली है मजनूँ की
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading undefined Shayari