sach galat ka talabgaar hai hi nahin
isliye koii takraar hai hi nahin
shakl soorat lage aur hi kuchh tabhi
markazi hai vo kirdaar hai hi nahin
ishq ka rang jab aur bhadda lage
bewafa hai wafaadar hai hi nahin
bad-ma'ashi jahaan par kahin bhi rahe
phir wahan koii sarkaar hai hi nahin
ishq par hi likhi hai manohar ghazal
kya muhabbat kare pyaar hai hi nahin
सच ग़लत का तलबगार है ही नहीं
इसलिए कोई तकरार है ही नहीं
शक्ल सूरत लगे और ही कुछ तभी
मरकज़ी है वो किरदार है ही नहीं
इश्क़ का रंग जब और भद्दा लगे
बेवफ़ा है वफ़ादार है ही नहीं
बद-म'आशी जहाँ पर कहीं भी रहे
फिर वहाँ कोई सरकार है ही नहीं
इश्क़ पर ही लिखी है "मनोहर" ग़ज़ल
क्या मुहब्बत करे प्यार है ही नहीं
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari