shajar hi aasraa sab ko sahi deta
kisi ko bhi ghana saaya wahi deta
zara tum khoobiyo par dhyaan to dena
jiye kaise wahi khata-bahi deta
shajar boodha hamesha fal kahaan deta
haqeeqat mein bada anjaam hi deta
juda ho ke sada shaadaab hi hota
vo sehra mein hamein saaya wahi deta
jahaan mein jab akela hi koii hota
dua maa-baap jaise hi wahi deta
shajar ka phir kahaan mazhab koii hota
kisi bhi rang mein rangat wahi deta
manohar haq jataaye jab lakadhara
shajar ko kaun phir jeene sahi deta
शजर ही आसरा सब को सही देता
किसी को भी घना साया वही देता
ज़रा तुम ख़ूबियों पर ध्यान तो देना
जिए कैसे वही खाता-बही देता
शजर बूढ़ा हमेशा फल कहाँ देता
हक़ीक़त में बड़ा अंजाम ही देता
जुदा हो के सदा शादाब ही होता
वो सहरा में हमें साया वही देता
जहाँ में जब अकेला ही कोई होता
दुआ माँ-बाप जैसे ही वही देता
शजर का फिर कहाँ मज़हब कोई होता
किसी भी रंग में रंगत वही देता
“मनोहर” हक़ जताए जब लकड़हारा
शजर को कौन फिर जीने सही देता
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari