aasmaan sii teri mahaarat hai
guftugoo ye nahin haqeeqat hai
hijr bechain kyun karein rah ke
tu galat hai nahin masaafat hai
bolna aur tha use lekin
jhooth mein bhi chhupi sadaqat hai
dost saare lage sayaane hi
dosti mein dikhi rafaqat hai
gul gul-e-tar rahe manohar sab
sirf khaaron se jab hifaazat hai
आसमाँ सी तेरी महारत है
गुफ़्तुगू ये नहीं हक़ीक़त है
हिज्र बेचैन क्यूँ करें रह के
तू ग़लत है नहीं मसाफ़त है
बोलना और था उसे लेकिन
झूठ में भी छिपी सदाक़त है
दोस्त सारे लगे सयाने ही
दोस्ती में दिखी रफ़ाक़त है
गुल गुल-ए-तर रहे "मनोहर" सब
सिर्फ़ ख़ारों से जब हिफ़ाज़त है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Depression Shayari Shayari