umooman ishq hi mazhab rahe sab ke agar dil mein
koii tanhaa kahaan dikhta kabhi bhi yaar mehfil mein
haseen sii zindagi jee lo khushi se aur dil se hi
jiye jo muskuraa ke hi kahaan vo baat buzdil mein
dikhe jugnoo chamakte jab kabhi tab raat hi hoti
kahin gum tum na ho jaao sitaaron kii hi jhilmil mein
judaai ka safar mushkil kahaan hota nahin samjho
lage gahraaiyon se jab pata dukh kyun na ho dil mein
fazaa kii gard mein dekhi jhalak bhi yaad hai mujh ko
nazaakat aur hi to thi basi jo hai dilo-dil mein
ghazal mein zikr barson se usi hi daur ka hota
likhe ash'aar phir dil se padhe bhi khoob mehfil mein
raha tanhaa kabhi chalte hue hi kyun samandar sa
kai toofaan aate hain manohar dekh saahil mein
उमूमन इश्क़ ही मज़हब रहे सब के अगर दिल में
कोई तन्हा कहाँ दिखता कभी भी यार महफ़िल में
हसीं सी ज़िंदगी जी लो ख़ुशी से और दिल से ही
जिए जो मुस्कुरा के ही कहाँ वो बात बुज़दिल में
दिखे जुगनू चमकते जब कभी तब रात ही होती
कहीं गुम तुम न हो जाओ सितारों की ही झिलमिल में
जुदाई का सफ़र मुश्किल कहाँ होता नहीं समझो
लगे गहराइयों से जब पता दुख क्यों न हो दिल में
फ़ज़ा की गर्द में देखी झलक भी याद है मुझ को
नज़ाकत और ही तो थी बसी जो है दिलो-दिल में
ग़ज़ल में जिक्र बरसों से उसी ही दौर का होता
लिखे अश'आर फिर दिल से पढ़े भी ख़ूब महफ़िल में
रहा तन्हा कभी चलते हुए ही क्यूँ समंदर सा
कई तूफ़ान आते हैं 'मनोहर' देख साहिल में
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari