aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aaye | आँखों से मोहब्बत के इशारे निकल आए

  - Mansoor Usmani

aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aaye
barsaat ke mausam mein sitaare nikal aaye

tha tujh se bichhad jaane ka ehsaas magar ab
jeene ke liye aur sahaare nikal aaye

main ne to yoonhi zikr-e-wafa chhed diya tha
be-saakhta kyun ashk tumhaare nikal aaye

jab main ne safeene mein tira naam liya hai
toofaan ki baahon se kinaare nikal aaye

ham jaan to bacha laate magar apna muqaddar
is bheed mein kuchh dost hamaare nikal aaye

jugnoo inhen samjha tha magar kya kahoon mansoor
mutthi ko jo khola to sharaare nikal aaye

आँखों से मोहब्बत के इशारे निकल आए
बरसात के मौसम में सितारे निकल आए

था तुझ से बिछड़ जाने का एहसास मगर अब
जीने के लिए और सहारे निकल आए

मैं ने तो यूँही ज़िक्र-ए-वफ़ा छेड़ दिया था
बे-साख़्ता क्यूँ अश्क तुम्हारे निकल आए

जब मैं ने सफ़ीने में तिरा नाम लिया है
तूफ़ान की बाहोँ से किनारे निकल आए

हम जाँ तो बचा लाते मगर अपना मुक़द्दर
इस भीड़ में कुछ दोस्त हमारे निकल आए

जुगनू इन्हें समझा था मगर क्या कहूँ 'मंसूर'
मुट्ठी को जो खोला तो शरारे निकल आए

  - Mansoor Usmani

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mansoor Usmani

As you were reading Shayari by Mansoor Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Mansoor Usmani

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari